ham hai.n mataa-e-kuuchaa-o-bazaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
ham hai.n mataa-e-kuuchaa-o-baazaar kii tarah
uThatii hai har nigaah Khariidaar kii tarah
is kuu-e-tishnagii me.n bahut hai ke ek jaam
haath aa gayaa hai daulat-e-bedaar kii tarah
vo to hai.n kahii.n aur magar dil ke aas paas
phiratii hai koii shay nigaah-e-yaar kii tarah
siidhii hai raah-e-shauq pa yuu.N hii kabhii kabhii
Kham ho gaii hai gesuu-e-diladaar kii tarah
ab jaa ke kuch khulaa hunar-e-naakhuun-e-junuun
zaKhm-e-jigar hue lab-o-ruKhsaar kii tarah
'Majrooh' likh rahe hai.n vo ahal-e-vafaa kaa naam
ham bhii kha.De hue hai.n gunahagaar kii tarah