bahut dino.n kii baat hai
Salaam Machhli Shehri

bahut dino.n kii baat hai
fizaa ko yaad bhii nahii.n
ye baat aaj kii nahii.n
bahut dino.n kii baat hai

shabaab par bahaar thii
fizaa bhii Khush-gavaar thii
na jaane kyuu.N machal pa.Daa
mai.n apane ghar se chal pa.Daa
kisii ne mujh ko rok kar
ba.Dii adaa se Tok kar
kahaa thaa lauT aa_iiye
merii qasam na jaa_iiye

par mujhe Khabar na thii
maahaul par nazar na thii
na jaane kyuu.N machal pa.Daa
mai.n apane ghar se chal pa.Daa
mai.n shahar se phir aa gayaa
Khayaal thaa ke paa gayaa
use jo mujhase duur thii
magar merii zaruur thii

aur ik hasiin shaam ko
mai.n chal pa.Daa salaam ko
galii kaa rang dekh kar
na_ii tarang dekh kar
mujhe ba.Dii Khushii hu_ii
mai.n kuchh isii Khushii me.n thaa
kisii ne jhaa.Nk kar kahaa
paraaye ghar se jaa_iiye
meri qasam na aa_iiye

vahii hasiin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa huu.N ghar ko cho.Dakar
na jaane jaauu.Ngaa kidhar
ko_ii nahii.n jo Tok kar
ko_ii nahii.n jo rok kar
kahe ke lauT aa_iiye
merii qasam na jaa_iiye

merii qasam naa jaa_iiye...

Home | Index of Poets


Last updated on 8th June, 1998